Aj hum sikhne wale bhot hi testy Chicken korma banane ka tarika :Chicken korma banane ka tarika hindi me jo koi bhi asani se padh sakta hai what’s app wali bhasha me.
Chicken korma banane ka tarika
Chicken korma ek be ha testy recipe hoti hai jiska naam sunte hi mu me pani ajata hai or dil karta hai jaldi se testy si khushbu wala chicken korma garam garam tanduri roti ke sath khaliya jae.
Course -Main Dish
Cuisine– Indian
Prep Time -30 minutes
Cook Time -30 minutes
Total Time– 1 hour Servings 16 people
Ingredients: (Chicken korma banane ka tarika)
Chicken: 2kg
Tel(Oil) : 300gm
Dahi :500gm
Pyaaz :500gm
Lassan:50gm
Adrak:50gm
Miaenge:250gm
Khoya: 100gm
Nariyal Baroda : 50gm
Badam: 50gm
Chrongi:50gm
Kaju:50gm
Laal mirch pisi: 4 chammach
Dhaniya pisa : 25gm
Garam masala pisa : 1 Bada Chammach
Daalcheeni ke 2 Tukde 2 .2 inch ke
Kalimirch: 20 dane
Long :5
Safedilaichi
Laal Elaichi :5
Jaifal :1
Jawetri :2 fool
Tejpaat ke atte 5
Namak: Swadanusar
Kevda jal swadanusar
Chicken korma banane me lagne wala Time
Chicken korma ki tayari me lagne wala time 30 mint
Chicken korma banane me lagne wala Time 30 mint
Total amount Time: 1ghanta yani 60mints.
Chicken korma banane ka tarika :Chicken korma banane ka tarika hindi Me
Jayfal javitri ko piskar powder Banakar rakh Le.
Chicken korma banane ki tayari
Sabse pahle jitni bhi pyaz hai usko Barik sliders Mein Kat kar rakh le
Lahsun adrak ko Barik peace le.
Jitne bhi dry fruits Hain kaju badam Lenge khas khas sabhi ko mixture Mein dalkar Barik peace len coconut ka burada nahin mila ho to sabut Nariyal Le sakte hain use Pani mein bhigokar rakh Den aur use bhi sath mein peace Le yah Aage Hamare kam Aane Wala Hai pest.
Kuchh dry fruits decoration ke liye bhi bacha kar Rakh sakte hain Kyunki decoration Mein dry fruits Agar sabut sabut dikhte hain korme mein to Kafi Khubsurat Lagte Hain aur khane mein bhi bahut testi Lagte Hain isliye Thode dry fruits bacha le.
Pyas ko Tel Mein talne ke bad thoda Thanda kar kar Bari peace Le brown pyaj taiyar kar kar alag rakh le.
Chicken korma banane ka tarika :(Chicken korma banane ka tarika hindi mereko)
Dahi ko acchi Tarah fed kar rakh le Bina fate Hue dahi ka korme ki gravy acchi Nahin Banti smooth gravy banane ke liye Dahi ko ferna Jaruri Hota Hai.
Chicken korma banane ka tarika
Sabse pahle Ek bartan mein Tel dalkar pyaj Jo Humne Barik Kat kar Rakh Li Thi pahle hi use Dal De aur golden fry kar le Pyar fry ho jaaye tab use Ek Chhed wale chammach yani karchi se Sare pyaj Bahar nikaalne aur ek bartan Mein Thanda hone Rakh De.
Uske bad lahsun Adrak Ka pest dalen aur acchi Tarah Se bhoon Le ab Safed ilayachi Badi ilayachi kali mirch Laung dalchini tejpat ke patte jitne bhi Khade masale Hain Sabko thoda sa Pani dalkar Tel Mein Dal den kuch seconds ke liye bhune ab ismein acchi Tarah Se Jo dhula Hua chicken Rakha tha vah Dal De.
Chicken ko acchi Tarah bolane Ke Bad Lal mirch add Karen Kuchh second ke bad dahi dalen aur tab tak bhune jab tak pani Sukh Na Jaaye yani Tel (oil) alag nazar na Aane Lage.
Ab ismein vah pyaj add Karen Jo Humne fry kar kar nikal kar Rakhi Thi Aur Jise Barik Pisa tha mixture se use Pyas ko add Karen thoda sa Pani bhi add Karen aur acchi Tarah bhune second step Mein Ab jitne bhi dry fruits ka pest tha vah add Karen ine sari chijon ko acchi Tarah bhune Namak starting Mein Hi Hamen add kar dena hai Jab Humne chicken dala tha tab Chakkar dekh lena Jitna aapko Pasand Ho Halka ya medium Jaisa bhi aap khana Pasand Karte Hain Namak Vaisa Rakh sakte Hain.
Ab ismein Pisa Dhaniya dalen Pisa Dhaniya yani coriander powder Ham is stage per isliye Dal rahe hain Kyunki Hamen gravy danedar chahie Jo Shahi Darbar Mein Banti Thi sem vaise hi gravy Hamen chahie Hain gadi danedar chicken se lipti Hui isliye Ham is stage per Dhaniya dalkar acchi Tarah bhulate Hain Kahin Bhi aapko Lage masala Sukh raha hai to aap thoda Pani Dal De.
Jab yah sari chijen acchi Tarah Bhun Jaaye chicken ko check kar len ki vah Gal gaya ab tak chicken Gal chuka Hoga Kyunki chicken bahut jaldi Gal jata hai agar Nahin gala hoga to thodi der aur cook kar le but chicken gal hi chuka Hoga chicken Gal jaane ke bad ismein Jitna Bhi aapko gravy gadi Patali Jaisi bhi Rakhna hai use hisab se Pani add Karen.
Is stage per kevda Jal dalne aur Khoya bhi Dal De Khoya ko dalne ke bad bhi Hamen Bhulna hoga agar aap Chahe to khoe ko iski bhi kar sakte hain lekin Shahi shahi korma banane ke liye Khoya Kafi Achcha lagta hai ab Shorba Laga De Shobha Lagane ke bad Namak jayfal javitri dalchini ka powder Dal den Garam Masala bhi Dal De Ek ubal Aane Tak pakayen taiyar Hai Aapka Chicken Korma Recipe.
Chicken Korma Recipe History
Chicken korma Ko Mana jata hai ki yah Ek Shahi Desh Hai Jo Raja maharajaon ke liye unke Darbar Mein khastaur per pakaya jata tha chicken korma Mughlai dish hai Delhi 6 Mein chicken korma ki Kai tarike ki variety milati Hain.
Delhi 6 ka chicken korma sikhane ke liye Yahan click Karen chicken korma shaadi party Ki Jaan Hota Hai jyadatar shadiyon Mein chicken korma Jarur Se Banta Hai Aur log ise Bade Chau ke sath Tandoori Roti ke sath khate Hain Koi Koi se rumali Roti ke sath bhi khana Pasand karta hai Ghar Ki Roti ke sath bhi yah Achcha lagta hai.
How to weight loss fast in Hindi: Ots paneer recipe with Safola Oats